ussne kaha-
agar surya nahi ho to?
maine kaha surya nahi, chandra nahi to diye ka hi sahi par prakash hoga.
diye ki nahi to mashal ki, nahi to jugnuon ki
timtimati sahi..par raushni hogi.
phir ussne kahak prakash hi nahi to?
maine kaha prakash nahi to drishti nahi,
chitra nahi... par dhwani hogi..ped se takraate pawan ki, badalon ki garaz hogi.
badalon ki garaz nahi, hawa ki dhun nahi... to kadamtal hogi sainiko ki.
Ussne kaha dhwani nahi, sangeet nahi tumhare
aur mere swar nahi to?
maine kahan dhwani nahi,
prakash nahi, chitra nahi sangeet nahi par vichar honge...Jinhe sparsh karke bata denge hum...sparsh nahi, dhwani nahi, prakash nahi to?
to swapna nahi aur swatantrata nahi.